* password *
password
mahfuz hain mere demagh ke computer me
sara aakash
dharti ka dhoop se Dhaka jism
barishon me ufanti nadi
aur nadi me pure jism se naha ti
ek larki
jiske janamdin par
saste tuhfe diya karta tha main
har sal
aaj bhool gaya hon main
us larki ka janam din
mujhe yad nahi apna pasward bhi
|