donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nooh Narvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taab nahiiN, sukuuN nahiiN, dil nahiiN ab jigar nahiiN *
Taab nahiiN, sukuuN nahiiN, dil nahiiN ab jigar nahiiN,
apnii nazar kidhar uThThe ko’ii idhar udhar nahiiN,
roz-o-shab uThte baiThte un kii zubaaN par nahiiN,
ko’ii nahiiN kii hadd nahiiN, shaam nahiiN sahar nahiiN,
ko’ii yahaaN se chal diyaa raunaq-e-baam-o-dar nahiiN,
dekh rahaa huuN ghar ko maiN ghar hai magar vo ghar,
itnii Khabar to hai zaruur, le gaye dil vo chhiin kar,
kyaa hu’aa us kaa phir maal, us kii mujhe Khabar nahiiN,
kyuuN vo idhar udhar phire, kyuuN ye huduud meN rahe,
terii nazar to hai nazar, merii nazar nazar nahiiN,
mujh se bigaR kar apne ghar jaaiye, Khair jaaiye,
aap ne ye samajh liyaa aah meN kuch asar nahiiN,
dair ko ham ghaTaayeN kyuuN, Ka’abe ko ham baRhaayeN kyuuN,
kyaa hai Khudaa kaa ghar yahii, kyaa vo Khudaa kaa ghar nahiiN,
parde se baahar aaiye, ruKh se niqaab uThaaiye,
taab-e-jamaal laa sake, itnii merii nazar nahiiN,
mujh ko Khayaal roz-o-shab Khaak rahe mazaar meN,
aisii jagah huuN jis jagah shaam nahiiN, sahar nahiiN,
teGh kahuu, sinaaN kahuu, qah’r kahuu, balaa kahuu,
ahl-e-nazar kii raaye meN unkii nazar nazar nahiiN,
daR gaye ahl-e-anjuman tiir jo aap kaa chalaa,
us ne kahaa idhar nahiiN, us ne kahaa udhar nahiiN,
roz ke Gham ne is tarah Khuugar-e-zabt-e-Gham kiyaa,
dard hamaare dil meN hai, shikvaa zubaan par nahiiN,
puuchte haiN vo haal-e-dil tuul-e-suKhan se faaydaa,
so kii ye aik baat hai, kah duuN mujhe Khabar nahiiN,
un meN kuch aur baat thii un meN kuch aur baat hai,
Hazrat-e-”Nooh” kaa gumaaN Hazrat-e-”Nooh” par nahiiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 463