donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nooruddin Mauj
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baat lab pe na laao be maqsad ,kaam kar ke dikhayo be maqsad *
Ghazal numa 

Baat lab pe na laao be maqsad ,kaam kar ke dikhayo be maqsad 
Waqt ko mat ga’nwayo be maqsad 
Kaam karne se hi to banta hai kaam bato’n se to nahi’n banta 
Yu’n na bate’n banayo be maqsad 
Chupke chupke yeh tum jo baithe ho baat kya hai batayo kuchh to sahi 
Teer ko mat chlayo be maqsad 
Us ko rakho agar hifazat se yeh andhere me’n kaam aayegee 
Lakarhya’n mat jalao be maqsad 
Tum jo ha’nste ho ha’nsate ho sach hai rona parhega us ke bad 
Is qadar mat ha’nsao be maqsad 
Khidmate khalq kis ko kahte hai’n aao  ai “Mauj” tum ko batlayu’n 
Kam auro’n ke aao be maqsad 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 332