donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Obaidullah Aleem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh ishq tha kuch majboori thi, so mein nein jeevan haar diya *
Kuchh ishq tha kuch majboori thi, so mein nein jeevan haar diya
mein kaisa zinda aadmi tha ik shakhas nay mujh ko maar diya

ik sabaz shakh gulaab ki tha ik duniya apnay khawb ki tha
woh aik bahaar jo aaye nahi uss kay liyeah sab kuch haar diya

yeah saja sajaya ghar saathi mere zaat nahi mera haal nahi
aye kaash kabhi tum jaan sakoo jo uss sukh nay azaar diya

mein khuli hoi aik sajaye mujhay jananay wallay jantay hein
mein nay kin loagoon say nafrat ki aur kin loagoon ko payaar diya

yeah ishq bohat mushkil tha magar asaan na tha youn jeena bhi
uss ishq nay zinda rehnay ka mujhay zaraf diya pandar diya

mein roota hoon aur asmaan say taray toot'tay daikhta hoon
un loagoon par jin loagoon nay mere laogoon ko azaar diya

woh yaar hoon ya mehboob mere ya kabhi kabhi milnay wallay
Ik lazat sab kay milnay mein woh zakham diya ya payar diya

mere bachoon ko Allah rakhay in taza hawa kay jhonkoon nay
mein khushk bair khazaan ka tha mujhay kaisa barg o baar diya
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458