* Wahshat usi se phir bhi wohi yaar dekhna *
Wahshat usi se phir bhi wohi yaar dekhna
pagal ko jaise chaand ka deedaar dekhna
is hijrati ko kaam hua hai ke raat din
bas woh charaaG aur woh deewaar dekhna
paauN meiN ghoomti hai zameeN aasmaaN talak
is tifl-e-sheer khwar ki raftaar dekhna
yaarab koi sitara-e-ummeed phir tuloo´
kya ho gaye zameen kay aasaar dekhna
lagta hai jaise koi wali hai zuhoor meiN
is shaam ko kahiN koi mai-khwaar dekhna
is wehshati ka haal ajab hai ke us taraf
jaana bhi aur jaanib-e-pindaar dekhna
dekha tha khwab shaair-e-momin ne is liye
ta´beer meiN mila humeN talwaar dekhna
jo dil ko hai khabar kahiN milti nahiN khabar
har subha ik azaab hai akhbaar dekhna
maiN ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishaaN
be-qaamati pay jubba-o-dastaar dekhna
sadiyaaN guzar rahi haiN magar roshni wohi
yeh sar hai ya charaaG sar-e-daar dekhna
is qafilay ne dekh liya karbala ka din
ab reh gaya hai shaam ka baazaar dekhna
do chaar kay siwa yahaN likhta ghazal hai kon
yeh kon haiN yeh kis kay taraf daar dekhna
|