donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Obaidullah Aleem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye mera chehra, ye meree ankain *
Ye mera chehra, ye meree ankain 
Bujhee hu-ay say charagh jaysay 
Jo pher say jalnay kay muntazir haun 
...... 
Vo Chand chehra, Sitara ankhain 
Vo meharbaan sayadaar zulfain 

Jinhoun nay payman key-ye thay mujh say 
rafaqaton kay, mohabaton kay 
Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay 
Jahan bhee ja'ay ga hum bhee aian gay saath tere 
Banain gay raaton main chandni hum toe din main 
saa'ye bakhair dain ge

...... 
Vo chand chehra, sitara ankhain 
Vo meharbaan sayadar zulfain 
...... 
Vo apnay payman rafaqaton kay mohabaton kay 
Shikast kar kay

Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay hain 
Magar musafir koe kya khabar hay 
Vo chand chehra toe bujh gaya hay 
Sitara ankhain toe so ga'eey hain 
Vo zulfain bay sayaah ho ga'eey hain 
Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay 
So mere raahon main aaj bhee hain 
ke main musafir ra-hey vafaa ka 
...... 
Vo chand chehra, sitara ankhain 
Vo meharbaan sayadaar zulfain 
...... 
Hazaaron chehron hazaaron ankhain 
Hazaaron zulfon ka aik selaab-e-tund lay kar 
mere ta'aqub main Aa-ra-hey hain 
Her aik chehra hay chand chehra 
Hain saary ankhain sitara ankhain 
Tamaam hain 
Meharbaan saayah daar zulfain 
Main kiss ko chahoon, main kiss ko choomon 
Main kiss kay saa'ye main bait jaaon 
bachoon ke toofan main doob jaaon 
Ke mera chehra, na mere ankhain 
Mera Khudaya! main zindagi kay azaab likhoon ke 
khawab likhoon
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 655