donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Obaidullah Aleem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koi dhun ho main tere geet hi gaaye jaaun *
Koi dhun ho main tere geet hi gaaye jaaun
dard seene mein uThhay shor machaaye jaaun

khwab ban kar tu barasta rahe shabnam shabnam
aur bas main isi mausam meni nahaaye jaaun

tere hi rang utarte chale jaayein mujh mein
khud ko likhun, teri tasveer banaaye jaaun

jisko milna nahin phir usse mohabbat kaisi
sochta jaaun, magar dil mein basaaye jaaun

tu ab uski hui jis par mujhe pyar aata hai
zindagi, aa tujhe seene lagaaye jaaun

yahi chehre mere hone ki gawahi denge
har naye harf mein jaan apni samaaye jaaun

jaan to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage
koi aawaaz diye jaaye, main aaye jaaun

shaayad is rah pe kuch aur bhi raahi aayein
dhoop mein chalta rahun, saaye bichhaaye jaaun

ehl-e-dil hongay to samjhenge sukhan ko mere
bazm mein aa hi gaya hun to sunaaye jaaun
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374