* kuch ishq tha kuch majaboori thi so main ney jeevan vaar diyaa *
kuch ishq tha kuch majaboori thi so main ney jeevan vaar diyaa
main kaisa zinda aadami tha aik shakus ney mujh ko maar diyaa
ye sajaa sajaya ghar saqi meri zaat nahin meraa haal nahin
aye kash kabhi tum jaan sako jo us sukh ney aazaar diyaa
main khuli hoi ik sachchai mujhe jananey valey janatey hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se piyaar kiyaa
wo ishq bahut mushkil thaa magar asaan na tha yoon jeena bhi
us ishq ne zindaa rahane ka mujhe zarf diyaa pindaar diyaa
aik sabz shaakh gulaab ki tha ik duniyaa apane piyaar ki thi
wo aik bahaar jo aii nahin us ke liye sab kuch haar diyaa
main rotaa hoon aur asmaan se taare toothey dekhata hoon
un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diyaa
wo yaar hon yaa mahaboob merey yaa kabhii kabhi milaney waaley
aik lazzat sab ke milane main wo zakham diyaa yaa piyaar diyaa |