* Bana gulaab to kaantey chubha gayea aik shakus *
Bana gulaab to kaantey chubha gayea aik shakus
Huwa chiraagh to gher hi jala gayea aik shakus
Taamam rang merey ore sarey khuwab merey
Fasana they keh fasana bana gayea aik shakus
Muhabbatein bhi ajab uss ki nafratein bhi kamala
Meri hi terhan ka mujh main main sama gayea aik shakus
Muhabbatoon ney kisi ki bhula rakha tha ussey
Miley wo zakham keh phir yaad aa gayea aik shakus
Khula yeh raaz keh aaina khana hey duniya
Ore iss main mujh ko tamasha bana gayea aik shakus
|