|
* Na sardaro’n me shaamil hoo’n na zardaro’n me shaamil hoo’n *
Ghazal numa
Na sardaro’n me shaamil hoo’n na zardaro’n me shaamil hoo’n,
Mai’n gamkharo’n me shaamil hoo’n.
Zamana sakht barham hai ke mai’n bhi deene ulfat ke ,
Parstaaro’n me shaamil hoo’n.
Meri tasbiih khwaani hai numaish paarsaai hai ,
Riyakaaro’n me shaamil hoo’n .
Samajhta hoo’n bura fasqo fajoor wa shirk-o-bidat ko,
Magar chaaro’n me’n shaamil hoo’n.
Mai’n nazaa’n hoo’n nehaayet “Hashmi” taqdir par apni,
Main fankaro’n me’n shaamil hoo’n .
|
|