donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam, *
Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam,
bichhaR gayaa tirii suurat, bahaar kaa mausam,
ka’ii rutoN meN mire niim-vaa dariichoN meN,
Theher gayaa hai tire intizaar kaa mausam,
vo narm lehje meN kuchh to kahe,yaa lauT aaye,
sama’atoN kii zamiiN par phuaar kaa mausam,
payaam aaye haiN, phir eik sar-e-qaamat ke,
mere wajod ko khaiNchay hai daar kaa mausam,
vo aag hai ke merii poor poor jalti hai,
mere badan ko milaa hai chanaar kaa mausam,
rafaaqatoN ke naye khwaab khushnuma haiN, magar,
guzar chukaa hai tire aitbaar kaa mausam,
havaa chalii to nayii baarisheN bhii saath aayiiN,
zamiiN ke chehre pe aayaa nikhaar kaa mausam,
vo meraa naam liye jaaye aur maiN uss kaa naam,
lahuu meN guuNj rahaa hai pukaar kaa mausam,
qadam rakhe mirii Khushbuu, ke ghar ko lauT aaye,
ko’ii bataaye mujhe kuu-e-yaar kaa mausam,
vo roz aa ke mujhe apnaa pyaar pehnaaye,
mera Ghuruur hai bailay ke haar kaa mausam,
tire tareeq-e-mohabbat pe baarhaa sochaa,
ye jabr thaa ke tire ekhtiyaar kaa mausam.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392