donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuu-ba-kuu phail ga’ii baat shanaasaa’ii kii, *
Kuu-ba-kuu phail ga’ii baat shanaasaa’ii kii,
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraa’ii kii,
(kuu-ba-kuu : everywhere; shanaasaa’ii :  acquaintace; paziiraa’ii : acceptance)
kaise kah duuN ki mujhe chhoR diyaa hai us ne,
baat to sach hai magar baat hai rusvaa’ii kii,
(rusvaa’ii : disgrace)
vo kahiiN bhii gayaa lauTaa to mere paas aayaa,
bas yahii baat hai achchhii mere harjaa’ii kii,
(harjaa’ii : someone who can’t be trusted)
teraa pahluu mere dil kii tarah aabaad rahe,
tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaa’ii kii.
( aabaad : inhabited; qayaamat : doomsday; shab-e-tanhaa’ii : night of separation)
us ne jaltii hu’ii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa ga’ii taasiir masiihaa’ii kii
( peshaanii : forehead; taasiir : influence; masiihaa’ii : characteristics of a Messiah)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392