donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa, *
Chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa,
ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa,
milte hu’e diloN ke biich aur thaa faislaa ko’ii,
usne magar bichhaRte vaqt aur savaal kar diyaa,
ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii,
ahl-e-kitaab ne magar kyaa teraa haal kar diyaa,
ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir,
baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal  kar diyaa,
mumkinaa faisloN meN ek hijr kaa faislaa bhii thaa,
hamne to ek baat kii usne kamaal kar diyaa,
(mumkinaa : possible)
mere laboN meN muhr thii par mere shiisha-ruu ne to,
shah’r ke shah’r ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa,
chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake,
vaqt ne kis shabiih ko Khvaab-o-Khyaal kar diyaa,
muddatoN baad usne aaj mujhse ko’ii gilaa kiyaa,
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa.
(mansab-e-dilbarii : throne of love)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367