donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taazaa muhabbatoN kaa nashaa jism-o-jaaN meN hai,, *
Taazaa muhabbatoN kaa nashaa jism-o-jaaN meN hai,,
phir mausam-e-bahaar mere gulistaaN meN hai,
ek Khvaab hai ke baar-e-digar dekhte haiN,
ek aashnaa sii raushnii saare makaaN meN hai,
(baare-digar : once again; aashnaa : known)
ek shaaKh-e-yaasmiin thii kal tak KhizaaN-asar,
aur aaj saaraa baaGh usii kii amaaN meN hai,
(shaaKh-e-yaasmiin : branch of jasmine; KhizaaN-asar : autumn afflicted)
taabish meN apnii mehr-o-maah-o-najm se sivaa,
jugnuu sii ye zamiiN jo kaf-e-aasmaaN meN hai,
(taabish : brilliance; mehr-o-maah-o-najm : moon, sun and stars; kaf-e-aasmaaN : under the skies)
Khushbuu ko tark kar ke na laaye chaman meN rang,
itnii to suujh-buujh mere baaGhbaaN meN hai,
har jaanisaar yaad-dihaanii meN munhamik,
nekii kaa har hisaab dil-e-dostaaN meN hai,
(munhamik : busy)
baiThe raheNge shaam talak tere shiishaagar,
ye jaante hu’e ke Khassaaraa dukaaN meN hai,
masnad ke itne paas na jaaye ke phir khale,
vo be-talluqii jo mizaaj-e-shahaaN meN hai,
(mizaaj-e-shahaaN : nature of the rulers)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 425