donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Vo to Khushbuu hai havaaoN meN bikhar jaayegaa, *
Vo to Khushbuu hai havaaoN meN bikhar jaayegaa,
mas’alaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa,
(mas’alaa : problem, issue)
ham to samjhe the ke ek zaKhm hai, bhar jaayegaa,
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN meN utar jaayegaa,
(rag-e-jaaN : become veined, obstinate)
vo havaaoN kii tarah Khaanaa-bajaaN phirtaa hai,
ek jhoNkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa,
(Khaanaa-bajaaN : ruined and lifeless)
vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye,
mausam-e-gul mere aaNgan meN Thaher jaayegaa,
(rafaaqat : friendship; mausam-e-gul : season flower; aaNgan : courtyard)
aaKhirash vo bhii kahiiN ret pe baiThii hogii,
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa,
(aaKhirash : ultimately; ret : sand)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 439