donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai, *
Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai,
terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai,
( aah : sigh; manzar : scene)
tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai,
ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai,
(baa-vajuud : even though; ai’tiraaf : acceptance; shaamil : included)
azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa,
maiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai,
(azaab : punishment; mutma’iin : satisfied; panaah : shelter)
jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye,
vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai,
(makiiN : house-holder)
yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa,
hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN hai,
maiN bach bhii jaauuN tou tanhaa’ii maar daalegii,
mere qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai,
(tanhaa’ii : loneliness; qabliilaa : tribe; qatl-gaah : gallows)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 428