donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak, *
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak, 
Sard kamre may machalti garm sanso'n ki mahak,

Bazuo'n ke sakht halqe may koi nazuk badan, 
Silwate'n malabus par anchal bhi kuchh dhalka hua,

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa,
Narm zulfo'n se mulayam ungaliyo'n ki chher chhar,

Surkh hontho'n par shararat ke kisi lamhe'n ka aks, 
Reshami baho'n may churi ki kabhi maddham dhanak,

Sharmagi'n lahajo'n may dhire se kabhi chahat ki bat, 
Do dilo'n ki dharakano'n may gunjti thi ek sada,

Kanpte hontho'n pe thi allah se sirf ek dua, 
Kash ye lamhe thahar jaye'n thahar jaye'n zara.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 482