donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mushkil hai ab shahar mei'n nikle koi ghar se, *
Mushkil hai ab shahar mei'n nikle koi ghar se,
Dastar pe baat a gai hai hoti hui sar se,
Barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par,
Ik umr mere khet the jis abr ko tarse,
Is bar jo indhan ke liye kat ke gira hai,
Chirhiyo'n ko bara pyar tha us burhe shajar se,
Mehnat meri aandhi se to manasub nahi'n thi,
Rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se,
Khud apne se milne ka to yara na tha mujh mei'n,
Mai'n bhirh mei'n gum ho gai tanhai ke dar se,
Benam musafat hi muqaddar hai to kya gham,
Manzil ka ta`yyu'n kabhi hota hai safar se,
Pattharaya hai dil yu'n ki koi ism parha jaye,
Ye shahar nikalta nahi'n jadu ke asar se,
Nikle hai'n to raste mei'n kahi'n sham bhi hogi,
Suraj bhi magar ayega is rah-guzar se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 426