donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khushbu hai woh to chhu ke badan ko guzar na jaye, *
Khushbu hai woh to chhu ke badan ko guzar na jaye,
Jab tak mere wajud ke andar utar na jaye,
Khud phul ne bhi honth kiye apne nim-wa,
Chori tamam rang ki titali ke sar na jaye,
Is Khauf se wo sath nibhane ke haq mei'n hai,
Khokar mujhe ye larhki kahi'n dukh se mar na jaye,
Palko'n ko us ki apne dupatte se ponch du'n,
Kal ke safar mei'n aaj ki gard-e-safar na jaye,
Mai'n kis ke haath bheju'n use aaj ki dua,
Qasid hawa sitara koi us ke ghar na jaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 415