donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apnii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N *
Apnii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N, 
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N, 

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N, 
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N, 

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii, 
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N, 

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N,
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N, 

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah,
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N ,

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib, 
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N, 

mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar, 
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N, 

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat, 
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354