donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bahut roya woh hum ko yaad kar ke *
Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Hamaari zindagii  barbaad kar ke
PalaT kar phir yahiN aajayeNge hum
Woh dekhe to hamaiN aazaad karke
Rihaayii ki koi soorat nahii hai
Magar haaN! minnat E saiyaad kar ke
Badan mera chhuaa tha usne lekin
Gaya hai rooh ko aabaad kar ke
Har aamir tool dena chaahta hai
Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 423