donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi se nazar milaao kabhi *
Zindagi se nazar milaao kabhi  
Haar k baad muskuraao kahi

Tark E ulfat k baad umeed E wafa  
Ret par chal saki hai naao kabhi

Ab jafaa ki sarahataiN bekaar  
Baat se bhar saka hai ghaao kabhi

Shaakh se mauj E gul thami hai kahiN  
Baat se bhar sakaa hai ghao kabhi

Andhe zehnoN se sochne waalo  
Harf meN raushni milaao kabhi

BarisheN kya zamiN k dukh baNteN  
AaNsuoN se bujhaa alaao kabhi

Apne Spain ki khabar rakhna  
KashtiyaaN tum agar jalaao kabhi
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 393