donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parveen Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chaaraa – gar haar gaya ho jaise *
Chaaraa – gar  haar  gaya ho jaise
Ab  to  marnaa hi dawaa ho jaise

Mujhse bichhRa tha vo pahle bhi magar
Ab ke  yeh dard naya ho jaise

Mere maathe pe tere pyar kaa haath
Rooh par dast E sabaa ho jaise

YuN bahut haNs k mila tha lekin
Dil hi dil me woh khafaa ho jaise

Sar chhupaayeN to badan khulta hai
Zeest  muflis  ki  ridaa ho jaise
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397