donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parvez Ariz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yu’n to apne farz se wo rah-e-bar ghafil na tha. *
Yu’n to apne farz se wo rah-e-bar ghafil na tha.
Karvan ka rukh hi lekin janib-e-manzil na tha.

Jab bhi wo lauta safar se sab yahi kahne lage.
Kya tere rakht-e-safar men aaina shamil na tha.

Khoon se tar pairahan tha hath men shamsheer bhi.
Phir bhi usko kiun zamana manta qatil na tha.

DaastaN naakamiyunki kya sunayen ham tumhen.
Hausla tha,valvala tha,bas yaqeen kamil na tha.

Apni apni dharkanon ko sun raha tha har koi.
Is qadar khamosh "ARIZ" aaj tak sahil na tha.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 444