* Kis ne eslaaf ke meyaar ko zinda rakha. *
Kis ne eslaaf ke meyaar ko zinda rakha.
un ke jaise kisi kirdar ko zinda rakha.
band kamroN men to hoti hain ye bateN aksar .
ham ne kab jazba-e-isaar ko zinda rakha.
ye zamane ki rawish hi thi ki jisne paiham.
us ke andar ke gunehgaar ko zinda rakha.
waqt ki gard men dab paaye na mazi ke naqoosh.
fan ke jalwoN ne to fankaar ko zinda rakha.
ye karishma bhi meri aankhoN ne dekha "Ariz"
maut ke khauf ne bemaar ko zinda rakha.
***** |