donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parvez Ariz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir kashmakash-e-gham ko badha deti hain *
Dosto RUBAAI ..eak aisi sinf-e-sukhan hai jo eak makhsoos bahr men kahi jaati hai us ke makhsoos wazn men bhi 24 awzaan hote hain ..RUBAAI men matla lazim hai ...aakhri misre pe zahir hota hai ki shayer kya kahna chahta hai ....ye fan bahot ziyada mashq-e-sukhan ke baad aata hai ....main kuch rubaaiyan kahne ki jurrat ki hai .ho sakta hai ki isme bhi khamiyan niklen lekin ye faisla eak ustaad shayer jo ilm-e-urooz par uboor rakhta hai wahi dekh sakta hai ...main sirf shayer hun ....naqqad nahin ...bahot se ahl-e-ilm hazraat is bazm men hain ...main maa.aazrat ke sath ...aur is dar ke sath ki meri rubaaiyuon men bhi kuch ghalatiyaaN ho sakti hain ....pesh kar raha hun 
............Phir kashmakash-e-gham ko badha deti hain .

 

jazbaat men toofaan  utha deti hain .

dahleez pe jab meri bikhar kar "ariz"

suraj ki nai kirneN sada deti hain .

 

 

Bheege huye mausam men tapish kaisi hai .

is dil ke dharakne ki ravish kaisi hai .

kamre men hun jab tanha bhla kar duniya .

phir aaj ye seene men khalish kaisi hai ...

 

 

Zulmat ko dabe paaun guzar jane do.

zulfon ko shab-e-gham ki ,sanwar jane do .

phir shahr-e-tamanna men nikal jaunga .

kuch dhoop to aangan men bikhar jane do .

 

Har rang zamane ka naya lagta hai .

insaan hi insaN se juda lagta hai .

hasti ka fasana ho mukammal kaise .

har shakhs to khanoN men bata lagta hai 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 462