donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parvez Ariz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AaankhoN men sharaare yuN hi nahiN chehre pe siyaahi yun hi nahiN. *
AaankhoN men sharaare yuN hi nahiN chehre pe siyaahi yun hi nahiN.
jalte huye aansu yun hi nahiN guftaar men talkhi yun hi nahiN.
duniya se gurezaaN yun hi nahiN aur karb shanasi yun hi nahiN.
 
 
HAMNE BHI SHAB-E-GHAM KATI HAI HAM PE BHI QAYAAMAT GUZRI HAI.
 
 
ToofaaN ki tabahi dekhi hai maujoN ko utarte dekha hai.
sehra ki sulagti raahoN se khwaaboN ko guzarte dekha hai.
rishtoN ko sanwarte dekha hai rishton ko bikhartr dekha hai.
 
 
HAMNE BHI SHAB-E-GHAM KATI HAI HAM PE BHI QAYAAMT GUZRI HAI.
 
 
Ummeed ke gulshan men hai khezaaN verraan si dil ki mahfil hai.
afsurda hawaayeN charoN  taraf aur sard hawa bhi qatil hai.
har simt sitamgar lahreN haiN aur khoi hui har manzil hai.
 
 
HAMNE BHI SHAB-E-GHAM KATI HAI HAMPE BHI QAYAAMAT GUZRI HAI.
 
 
Mazi ki sunahri yadoN ne raatoN men jagaya hai aksar.
dushman ki to bateN jane deN yaarroN ne rulaaya hai aksar.
is rang badalti duniya ne nazroN se giraaya hai aksar.
 
 
HAM NE BHI SHAB-E-GHAM KATI HAI HAM PE BHI QAYAAMAT GUZRI HAI.
 
 
ApnoN ne siyaasat ki hai yahaN ekhlaas-o-wafa ki lashoN par.
chahat ke taqaze kho hi gaye wadoN ki kanteeli raahoN par.
afsos nahiN hai ab hamko tanhai ki lambi raatoN par.
 
 
HAMNE BHI SHAB-E-GHAM KATI HAI HAM PE BHI QAYAAMAT GUZRI HAI.-------------------
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 371