* Kiyun na karta wo ehtemaam juda. *
Kiyun na karta wo ehtemaam juda.
us ko lena tha inteqaam juda...
udne paye na koi chingaari ...
hain mere shahr ke awaam juda.
ab koi rishta nibh na payega.
uski hasti juda muqaam juda...
us ko bazaar ki parakh hai bahot.
us ki har cheez ka hai daam juda.
sar se khatra tala nahin "ariz"
kiyun badan se karun niyaam juda
|