* Ranj-o-aalaam ka shikwa na kiya . *
Ranj-o-aalaam ka shikwa na kiya .
ham ne taqdeer ko ruswa na kiya .
tark-e-ulfat pe bazid the woh bhi .
ham ne bhi koi bahana na kiya ...
bhar liya kaantoN se daman apna .
apne jazbaat ka sauda na kiya .
ham ne mazi se gurezaaN ho kar .
logg kahte hain ki acha na kiya .
jane kis khauf se "Ariz" ne kabhi .
zindigi se koi wada na kiya ...
|