donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parvez Ariz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil ke tukde huye gujraat ka dekha jo saman *
EAK NAZM GUJRAAT FASADAT KE BAAD------



Dil ke tukde huye gujraat ka dekha jo saman

Jo abhi tak na hua tha wo hua abke yahan.

Godhra men jo hua ham ko bhi gham tha lekin.

Wo gunehgaar the jinka ye sitam tha lekin.

Uske peeche jo sabab tha use dhoonda hota.

Kiyun hua kaise hua tumne ye socha hota.

Tum mohafiz bhi the hamsaye bhi rahbar bhi tumhi.

Waqt jab aan pada ban gaye khanjar bhi tumhi.

Masjiden tod din quraan jalaye tumne.

Sans lete huye insaan jalaye tumne.

Tar hui khooN se ahinsa ke pujaari ki zamiN

Eak maqtal bani afsos ye gandhi ki zamin.

Sharm aayi na tumheN dharm se yun door huye

Abru loot ke bahnoN ki bhi masroor huye

Dharm ke naam pe qanoon bhi toda tumne.

Kokh men maaon ke bachon ko bhi na choda tumne.

Apne hi shahr men uf khanabadoshon ki tarah .

Ham bhatakte rahe aawara parindoN ki tarah.

Faasla tumne magar ham se banaye rakha .

Eak abhiyaan adawat ka chalaye rakha.

Band mazi ke dareechon ko zara kholo tum.

Eak munsif ki nigaahon se hamen tolo tum.

Ham ne bhi khoon bahaya hai watan ki khatir .

Badh ke sar apna kataaya hai watan ki khatir.

Har museebat men masajid se azaanen di hain.

Aur tumhare liye bhi hamne duaayen ki hain.

Aankhen kholin hai yahin dam bhi yahin todenge.

Jo bhi halaat ho hargiz na watan chodenge.

Surkh hai khoon hamara bhi tumhari hi tarah.

Haq hai bharat pe hamara bhi tumhari hi tarah.

Bah chuka khoon bahot koi madava kar len.

Mil ke rahne ka chalo aaj to waada kar len.

Eak gahwara bane amn ka bharat yaa rab.

Khatm ho jaye ye sadiyon ki adaawat ya rab.....
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458