donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Pirzada Qasim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek se silsile hai'n sab hijr ki rut bata gai, *
Ek se silsile hai'n sab hijr ki rut bata gai, 
Phir wahi subah aayegi phir wahi shaam aa gai,
Mere lahu mai'n jal uThe utne hi taza dam chiraGh, 
Waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai,
Mai'n bhi ba-pas-e-dosta'n apne Khilaf ho gaya, 
Ab yahi rasm-e-dosti mujhko bhi raas aa gai,
Tund hawa ke jashn mai'n log gaye to the magar, 
Tan se koi qaba chhini sar se koi rida gai,
Dil-zadaga'n ke qafile dur nikal chuke tamam, 
Un ki talash mai'n nigah ab jo gai to kya gai,
AKhir-e-shab ki dasta'n aur kare'n bhi kya baya'n, 
Ek hi ah-e-sard thi sare diye bujha gai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388