donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Pirzada Qasim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KaduuratoN ke darmiyaaN adaavatoN ke darmiyaaN, *
KaduuratoN ke darmiyaaN adaavatoN ke darmiyaaN,
tamaam dost ajnabii haiN dostoN ke darmiyaaN,
(kaduurat : strife; adaavat : animosity; darmiyaaN : midst)
zamaanaa merii daastaaN pe ro rahaa hai aaj kyuuN,
yehii to kal sunii gayii thii qahqahoN ke darmiyaaN,
(qahqahe : laughter)
zamiir-e-asr meN kabhii navaa-e-dard meN kabhii,
suKhan-saraa to maiN bhii huuN sadaaqatoN ke darmiyaaN,
(zamiir-e-asr : conscience of the times; suKhan-saraa : to speak; sadaaqat : truth)
shauur-e-asr dhuuNdtaa rahaa hai mujhko aur main,
magan huuN ahd-e-raftaGhaaN kii azmatoN ke darmiyaaN,
(shauur-e-asr : style of the times; ahd-e-raftaGhaaN : bygone era; azmat : greatness)
abhii shikast kyaa, ke razm-e-aaKhirii ek aur hai,
pukaartii hai zindagii haziimatoN ke darmiyaaN,
(haziimat : defeat)
hazaar burdbaariyoN ke saath jii rahe haiN ham,
muhaal thaa ye kaar-e-ziist vahshatoN ke darmiyaaN,
(burdbaarii : kaar-e-ziist : life’s work)
ye sochte haiN kab talak zamiir ko bachaayeNge,
agar yuuN hii jiyaa kare zaruuratoN ke darmiyaaN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 648