donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Pirzada Qasim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sab jabr-e-vaqt kii nazar hu’aa jo paayaa jo paayaa bhii nahiiN, *
Sab jabr-e-vaqt kii nazar hu’aa jo paayaa jo paayaa bhii nahiiN,
fursat hai jo ab yaad aataa hai ek Khvaab jo dekhaa bhii nahiiN,
(jabr-e-vaqt : tyranny of the times)
kyaa haal banaa kar jaayeN ham yaaroN kii us bastii meN ke ab,
nashtar-lahjoN kaa zikr hii kyaa ham par to ko’ii haNstaa bhii nahiiN,
(nashtar-lahjoN : incisive comments)
ye kaisaa safar aaGhaaz kiyaa, ye kaisii gardish paaNv meN hai,
raste meN kahiiN rukte hii nahiiN, manzil pe ko’ii miltaa bhii nahiiN,
ek lafz masarrat thaa ke jise sau baar sunaa sau baar haNse,
yuuN sunne se yuuN haNsne se kabhii zaKhm-e-dil bhartaa bhii nahiiN,
(masarrat : happiness)
sehraa meN sabaa kaa vo jhoNkaa aayegaa phuul khilaayegaa,
dil jaantaa hai jo honaa hai, jo honaa hai hotaa bhii nahiiN,
ye saare gulshan sab sehraa hamse pehchaane jaate haiN,
bin tere ko’ii gulshan hai kahaaN, bin mere ko’ii sehraa bhii nahiiN,
phir raat ke sannaaTe meN vohii sargoshii guuNjne lagtii hai,
ham usko haal sunaate haiN, vo jisne kuch puuchaa bhii nahiiN,
is ishq-garoN kii bastii meN ham kaise ishq kareN ke yahaaN,
sau raste paaNv tale haiN, sar meN ko’ii saudaa bhii nahiiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374