donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Pirzada Qasim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pukaaraa jaa rahaa hai ke phir kisii ko qatl honaa hai, *
Pukaaraa jaa rahaa hai ke phir kisii ko qatl honaa hai,
to chaltaa huuN ke ab tanhaa mujh hii ko qatl honaa hai,
Ghubaar-e-tiirgii yuuN halqaa dar halqaa simaTtaa hai,
ke ab is shahr-e-dil kii roshnii ko qatl honaa hai,
(Ghubaar-e-tiirgi : dust of darkness; halqaa : circle)
ummiid ek DhuuNd hii lete the is dil ke Kharaabe meN,
to ab yuuN hai ke is ummiid hii ko qatl honaa hai,
(Kharaabaa : ruins)
abhii ai dast-e-qaatil shal na ho jaanaa ke maqtal meN,
hai kamboh-e-yaaraaN aur sabhii ko qatl honaa hai,
(dast-e-qaatil : hand of the murderer; shal : tired; maqtal : gallows; kamboh-e-yaaraaN : ?)
nigehdaarii kaa ab dastuur hii kuch aur hai yaanii,
fuGhaaN-aamaadaa ho jo bhii usii ko qatl honaa hai,
(fuGhaaN-aamaadaa : intent on crying)
sar-e-maqtal kise zindaa kiyaa jaaye yahaaN ab to,
ko’ii baaqii nahiiN lekin kisii ko ko qatl honaa hai.
(sar-e-maqtal : in front of the gallows)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442