|
* tum mujhse mere ghar ka pata poochhte ho kya *
tum mujhse mere ghar ka pata poochhte ho kya
rahti hoon ik makaan me, ab mera ghar kaha`n.
ghar ke aangan me laqeero`n ki faqat baat chali
khud b khud ban gayi deewaar, ye qissa kya hai
ghar ho saka n wo kabhi `kausar` kisi tarah
rehti thhi uss makaan me teri kami bahot
ghar ke kone me hai parha boorha, paani paani ki rat lagaye hue
ghar ke bahar gali ke kone me, yu`n to aksar sabeel lagti hai
chaand kuchh der hi kabhi chamke
ghar mera chandni se bhar jaye
qafas ko ghar samajhne lag gaye thhe
parinde 6oot kar jate kaha`n tak
ghar hua hai dhua`n dhua`n lekin
aasmaano`n se bijliya`n n gayi`n
dikhlayei`n ab chamak k mere ghar pe bijliya`n
karne laga hai aaina singar dekhiye
Poonam `kausar`
**** |
|