donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Poonam Kausar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne kuchh roothe rafiqo`n ko manane ke liye *
Apne kuchh roothe rafiqo`n ko manane ke liye
laaye hum aankho`n ka gangajal pilane ke liye

sarhado`n ke baandh beh jaate hai`n phir sailaab me
`jab gale milna pade aansu bahane ke liye`

le ke mere gao`n ki mitti wo ik rumaal me
aaye hai`n is shehar me ,mujhko manane ke liye

kaun jaane abr ye kiske samandar se utha
aur ab nikla hai kis dharti pe chhane ke liye

rooth jata hai yehi to chaand us aakaash per
aur yehi taare to aate hai`n manane ke liye

hum sajai`n ge naye rango`n se ab tasveer ko
kuchh purani si laqeero`n ko mitane ke liye

kaash `kausar`bhi hawa ban jaye , ho jaadu koi,
phir koi bandish n ho ,us paar jane ke liye

Poonam `kausar`
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351