* tez dharo`n ki baat karta hai *
tez dharo`n ki baat karta hai
phir kinaro`n ki baat karta hai
jugnuo`n ko pakar k muthhi mei`n
ab sitaro`n ki baat karta hai
khud hai laghzish mei`n do qadam chal kar
sheh sawaro`n ki baat karta hai
ashq palko`n se to sambhalte nahi`n
kin kanaro`n ki baat karta hai
jab se guzra hai nere gulshan se
sirf kharo`n ki baat karta hai
wo jo tha raazdaar `kausar `ka
ishtharo`n ki baat karta hai
poonam kausar
**** |