donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Poonam Kausar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bijlio`n ki zaba`n samajhte hai`n *
Bijlio`n ki zaba`n samajhte hai`n
ye gire`ngi kaha`n samajhte hai`n

Un tez hawaao`n me wo barsaat ke tewar
bijli ke muqabil thhe , siyah raat ke tewar

Keh rahi hai ye bijlio`n ki chamak
sir pe ek aasmaan baqi hai

Bijlia`n kyon chamakti rehti hain
ab to `kausar`ka aashia`n bhi nahi`n

Bahot udaas hai khaamosh aasma`n `kausar`
chamakti bijli ki , kali ghata ki baat karo

Dhoondna mushkil nahi`n `kausar`mere ghar ka pata
bijlio`n ki , aandhio`n ki rehguzar se poochhiye

Poonam `kausar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325