donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Poonam Kausar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Uske honto`n ki sabhi khaamoshiya`n samjhi thhi mein *
Uske honto`n ki sabhi khaamoshiya`n samjhi thhi mein
khushq aankho`n me samandar thhe niha`n, samjhi thhi mein

khaamushi kab tak n behti zulmato`n ki baadh me
shakhs chillayya wo , jisko be-zuba`n samjhi thhi mein

iss naye shehar-e-suku`n me bhi daraati hai mujhe
dehshato`n ki chup , jise amn-o-ama`n samjhi thhi mein

raakh ke uss dher me sulgi kai chingaariya`n
ek urhta sa faqat jisko dhua`n samjhi thhi mein

mil gaye dono teri aankho`n hi me simte hue
`iss zamin-o-aasma ko be-qara`n samjhi thhi mein`

baarisho`n ne dho diye thhe farq mausam ke sabhi
rut bahaaro`n ki thhi or daur-e-khiza`n samjhi thhi mein

chain paa jaye parinda dil ka `kausar` kis tarah
kat gaya wo perh , jisko aashia`n samjhi thhi mein

Poonam `kausar`
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344