|
* Tumhare chahne waalo`n me jab,mera shumaar aaya *
Tumhare chahne waalo`n me jab,mera shumaar aaya
ye dil ka dard bhi,mehmaan ban kar, baar baar aaya
ghazal to aansuo`n me doob kar bhi khoobsurat thhi
magar doobi jigar ke khoo`n me jab,kaisa nikhaar aaya !
wo kal jo mar gaya teri gali me, ik musafir thha
jo dil ka bojh,thhak kar,tere kuche me utaar aaya
wo teer-andaaz bhi kab thha,magar usne chalaya jo
nahi`n chooka koi,har teer,mere dil ke paar aaya
meri aankho`n pe thha`kausar`asar baarish ke mausam ka
khabar tak hi n ho payi,ke jab rang-e-bahaar aaya
Poonam`kausar`
|
|