* 6orh kar apna aashia`n n gayi`n *
6orh kar apna aashia`n n gayi`n
mere dil se udaasia`n n gayi`n
ghar hua hai dhua`n dhua`n lekin
aasmano`n se bijliaa`n n gayi`n
urh gaye rang mausamo`n ke sabhi
in hawaao`n ki mastia`n n gayi`n
naam tak bhi mera wo bhool gaye
haa`n magar , unki hichkia`n n gayi`n
waqt ki kaj-adaayia`n tauba !
phir bhi`kausar`ki shokhia`n n gayi`n.
Poonam`kausar`
|