donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Poonam Kausar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baadlo`n ki bheerh me utthe bha`nwar se poochhiye *
Baadlo`n ki bheerh me utthe bha`nwar se poochhiye
haal honto`n ki ha`nsi ka chashm-e-ta se poochhiye

toot ti jaati thhi ik ik eent sanso`n ki tarah
ghar maka`n kaise hua , deewar-o-dar se poochhiye

apni jis joothan se badboo aa rahi hai aapko
uski lazzat bhook se roti nazar se poochhiye

kho gayi khushboo kaha`n, chehre ki raunaq kya hui
kook se koyal ki or titli ke par se poochhiye

kis tarah kali syah raato`n me jal uthhei`n charagh
ye kisi shayar,mussavir ke hunar se poochhiye

door dikha hai ,magar nazdeek hi hai aasma`n
isko 6oote hausle ke balopar se poochhiye

dhoondna mushkil nahi `kausar`mere ghar ka pata
bijliyo`n ki , aandhiyo`n ki rehguzar se poochhiye

Poonam `kausar`
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323