* Gar ye tera mera nahi hota *
Gar ye tera mera nahi hota
phir koi mas`ala nahi hota
baat zaahid yu`n karta hai jaise
maiqade me khuda nahi hota
larh-kharhai wo umr bhar jisko
koi ka`nta chubha nahi hota
dard se dil laga ke dekha hai
dard itna bura nahi hota
husn ko ye ada bhi lazim hai
uska wada wafa nahi hota
beqarari.qarar,aur kya kya
teri baho`n me kya nahi hota
aaj `kausar`ki baat sun leeje
roz shiqwa gila nahi hota
Poonam `kausar`
**** |