|
* Phir aaj dard ko 6erhei`n, dawaa ki baat karein *
Phir aaj dard ko 6erhei`n, dawaa ki baat karein
phir aaine se ussi bewafaa ki baat karein
kabhi to band dareecho`n se jhaank kar dekhei`n
kabhi to dhoop se khelei`n, hawaa ki baat karein
kahi`n pe dhaate hain mandir wo, aur kahi`n masjid
jo log sabse zyada khuda ki baat karein
ha`nsi thhaako`n se mangei`n zara sa waqt kabhi
kisi ghareeb , kisi ghamzadaa ki baat karein
bahot udaas hai khaamosh asmaa`n `kausar`
chamakti bijli ki , kali ghata ki baat karein
Poonam `kausar`
**** |
|