donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Prem Warbartoni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Javanii ke hiile hayaa ke bahaane *
Javanii ke hiile hayaa ke bahaane ,
ye maanaa ke tum mujh se pardaa karogii ,
ye duniyaa magar tujh sii bholii nahii.n hai ,
chhupaa ke muhabbat ko rusvaa karogii, 

ba.Dii koshisho.n se ba.Dii Khvaahisho.n se ,
tamannaa ke sahamii hu_ii saazisho.n se, 
milegaa jo maukaa to bechain hokar,
dariicho.n se tum mujhako dekhaa karogii, 

sataayegii jab chaa.Ndanii kii udaasii,
dukhaayegii dil jab fizaa kii Khaamoshii, 
ufaq kii taraf Khaalii nazare.n jamaakar, 
kabhii jo na sochaa vo sochaa karogii ,

kabhii dil kii dha.Dakan mahasuus hogii,
kabhii ThanDii saa.Nso.n kii tuufaa.N uThegii, 
kabhii gir ke bistar pe aahe.n bharogii 
kabhii jhuk ke takiye pe royaa karogii. 
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344