donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qadar Parwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jaha’n kam hai zami’n kam hai besate aasma’n kam hai *
Ghazal numa
Jaha’n kam hai zami’n kam hai besate aasma’n kam hai,
Mohite do jaha’n kam hai. 
Tumhara qissae gham sun ke ye kahna parha ham ko,
Hamari dasta’n kam hai.
Ye lagta hai bahut pahle yaha’n se qaafla guzra ,
Ghubare kaarwa’ kam hai. 
Khabar hai garam ke suraj nikal kar aane wala hai,
Falak par kahkasha’n kam hai. 
Mahaze jang par hargiz na koi “Qadar” yeh samjhe, 
Hamara bezuba’n kam hai. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 457