* Hanth ka’npe they na mere aur na mujh ko dar laga *
Ghazal numa
Hanth ka’npe they na mere aur na mujh ko dar laga
Lab se jab saghar laga
Jisko jine ki tamnna aur na marne ki talab
Shakhs woh patthhar laga
Yeh to chhi’nte hai’n kabhee mujh tak pahu’nch sakte nhi’n
Dagh to dil par laga
Bech dala gurde ko beti ki shadi ke liye
Kya hasi’n manzar laga
Martba us ka “Qamar” hai jo jiya sab ke liye
Aur wahi bartar laga
|