donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye mojezaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe, *
Ye mojezaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe,
ke sang tujh pe gire aur zaKhm aaye mujhe,
(mojezaa : miracle; sang : stone)
vo mehrbaaN hai to iqraar kyuuN nahiiN kartaa,
vo badgumaaN hai to sau baar aazmaaye mujhe,
maiN apne paaNv tale rauNdataa huuN saaye ko,
badan meraa hii sahii do-pahar na bhaaye mujhe,
maiN ghar se terii tamannaa pahan ke jab nikluuN,
barahnaa shahar meN ko’ii nazar na aaye mujhe,
(barahnaa : naked)
vo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaluum,
daGhaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe,
maiN apanii zaat meN niilaam ho rahaa huuN ‘Qateel’,
Gham-e-hayaat se kah do Khariid laaye mujhe.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359