|
* Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hu'n mai'n, *
Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hu'n mai'n,
lekin ye sochta hu'n ki ab tera kya hu'n mai'n,
Bikhra parha hai tere hi ghar may tera wajud,
bekar mahafilo'n may tujhe dhundhata hu'n mai'n,
Mai'n khud kashi ke jurm ka karta hu'n aitaraf,
apne badan ki qabr may kabse garha hu'n mai'n,
Kis kiska naam luu'n zaba'n par ki tere sath,
har roz ek shakhs naya dekhta hu'n mai'n,
Na jane kis ada se liya tune mera naam,
duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hu'n mai'n,
Le mere tajurbo'n se sabak ae mere raqib,
do char sal umr may tujhse barh'a hun mai'n,
Jaga hua zamir wo aina hai "qateel",
sone se pahle roz jise dekhta hu'n mai'n.
|
|