donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raqs karne ka mila hukm jo dariyao'n may, *
Raqs karne ka mila hukm jo dariyao'n may, 
Ham ne khush hoke bhanwar baandh liye pao'n may,

Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talash,
Bund tak bo na sake jo kabhi saharao'n may,

Ai mere ham safaro'n tum bhi thake hare ho,
Dhup ki tum to milawat na karo chao'n may,

Jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj,
Bat na jaye tera bimar masihao'n may,

Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka, 
Ab to mahangai ke charche hai zulaikhao'n may,

Jis barahaman ne kaha hai ke ye sal achcha hai, 
Us ko dafnao mere haath ki rekhao'n may,

Wo khuda hai kisi tute hue dil may hoga,
Masjido'n may use dhundho na kalisao'n may,

Ham ko apas may muhabbat nahi karne dete,
Ik yahi aib hai is shahar ke danao'n may,

Mujh se karte hai'n "qateel" is liye kuchh log hasad, 
Kyo'n mere sher hai'n maqabul hasinao'n may.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336